Wednesday, April 9, 2014

Kisi Din Mai Apni Kahani Likhunga...

Kisi din mai apni kahani likhunga...
Kushiyo ki daastane hongi...Ghum ki yaade hongi...
Mere sang mai juda...tera naam hoga...
Auro ka zikr bhi hoga...aur unki beimaani likhunga....

Ye bhi likhunga ki mai kya chahta tha...
Ye bhi likhunga ki mai kya maangta tha...
Khoyi hui raato mai kise doondata hu...
Band in palko se kise dekhta hu...
Kisi din khul kar mai meri saari pareshani likhunga...
Kisi din mai apni kahani likhunga...

Jo mere tere beech mai aaye un sabko linkhunga.....
Wo dharm ki baate...
Wo jaat paat k kisse likhunga...wo rasmao riwajo ki kasmai linkhunga...
Wo vaade likhunga jo maine kiye the...
Wo yaade likhunga jo tumne diye the...
Wo beete hue dhai varsh ka har pal likhunga...
Toote hue sapno ka har kal likhunga...
Is zindagi mai us zindahi ki har nishani likhunga..
Kisi din mai apni kahani likhunga...

Ab jab na kuch khone ka darr hai...
Ab jab na kuch paane ki chah hai...
Ab jab zindagi mai bas ek hum hai...
Toh is naam k ant mai pyaar se tumhara naam zindagaani likhunga...
Kisi din mai apni kahani likhunga....